Ticker

6/recent/ticker-posts

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi) | Teamtobe Tech

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)

 IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)



IP Camera Vs HD Camera : IP Camera Or HD Camera Me Se Kai Log Ye Janne Me Paresan Ho Jate Hai Ki Un Dono IP Camera Or HD Camera Me Konsa Camera Sahi Hai. To Aapko Is Article Me Sabhi Points Ko Bataya Jayega Jinse Aap Ye Jaan Painge Ki Kon Sa Camera Aapke Ke Liye Sahi Hai IP Camera Ya HD Camera.


IP Camera Vs hd Camera Difference


IP Camera Or HD Camera Me Dono Hi Ak Jaise Hi Security Camera Hai Inme Or Kisi Chij Ka Difference Nhi Hai Sirf Inme Features Ka Difference Hai.


1. Cable Difference


Hd Camera: HD Camera Me Coaxial Cable Use Kiya Jata Hai. Ise Connect Karne Me BNC Cable Ka Istemaal Hota Hai.

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

IP Camera: IP Camera Me CAT-6 Ya CAT-5 Cable Ka Istemaal Hota Hai. Ye Oh Cable Hote Hai Jo Computer Ke Connection Me Use Hote Hai. Isse Connect Karne Me RG45 Connector Ka Istemaal Hota Hai.



2. Operating Difference


HD Camera: HD Camera Ki Operating Aap Sirf DVR Ke Through Hi Kar Payenge.

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

IP Camera: Iski Operating NVR Se Hoti Hai Ya Fir Aap Software Ke Madat Se Bhi Jo NVR Software Hoti Hai Uske Through Bhi Aap IP Camera Ko Operate Kar Sakte Hain. IP Camera Ko Aap Abhi Ke Advance Hybrid DVR Se Bhi Operate Kar Sakte Hai.



3. Camera Recording Difference


Hd Camera: HD Camera SE Recording Hoke Cable Ke Through DVR Me Video Processing Hoti Hai Isme Aap Bina DVR Ke Aap Video Recording Nhi Kar Payenge.


IP Camera: IP Camera Se Video Recorder Hoke Ye NVR Me Process Hoti Hai Ya Aap Iski Recording Bina NVR Ke Bhi Kar Sakte Hai Esme Micro SD Card Ke Through Bhi Aap Recording Kar Sakte Hai.





4. Camera Quality Difference


HD Camera: HD Camera Me Aapko 4K Video Recording Ka Options Hai Par Hd Camera Me Maximum 8MP Camera Milti Hai.


IP Camera: IP Camera Ke Maximum 30 MP Camera Milti Hai Oh Bhi 4K Video Recording Ke Saath.



5. Camera Setup Difference


HD Camera: Hd Camera Ke DVR Me Aap 32 Camera Ko Set Kar Sakte Hai. Usse Jyada Camera Ko Set Karna Hai To Aapko Dusra DVR Chahiye. Isme Bhi Kuch Limited Smart Features Milti Hai.

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

IP Camera: IP Camera Ke NVR Me Aap Ak Sath 64 Camera Ko Set Kar Sakte Hai With Limited Smart Features.



6. Smart Features Difference

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

Hd Camera: HD Camera Me Aapko Kuch Hi Smart Features Milti Hai Isme Face Director Common Hai.

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

IP Camera: IP Camera Me Bhi Aapko Limited Smart Features Milti Hai Par IP Camera Me Aapko Face Director Ke Saath ANPR (Automatic Number Plate Recording) Ki Bhi Facility Milti Hai.



7. Massive Cable Connection

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

HD Camera: HD Camera Me Cable Connection Ke Karan Bohot Sari Cable Ki Guchhe Bane Hote Hai. Uske Karan Ye Dekhane Me Bhadda Lagata Hai.

IP Camera Vs HD Camera 10 Difference And Full Analysis (Hindi)
Image Source| Google Images

IP Camera: IP Camera Ka Sara Setup Ak Box Me Hi Laga Hota Hai. Jisse Uska Setup Bhadda Jaise Bhi Lagta.



8. Speaker Difference


Hd Camera: HD Camera Me Aap Voice Recording Ka Option To Hai Lekin Aap Sirf Video Me Recording Sounds Ko Hi Sun Sakte Hai Lekin Aap Isse Kisi Ko Bol Nhi Sakte. Ye Aapko Kisi Ko Bhi Nirdesh Dene Ke Kaam Me Aata Hai.


IP Camera: IP Camera Me Aapko Camera Ke Saath Speaker Ka Bhi Support Milta Hai Aap IP Camera Se Video Recorder Sounds Bhi Sun Sakte Hai Sath Me Aap Speak Ke Through Aap Kisi Ko Nirdesh Bhi De Sakte Hai.



9. Budget Difference


HD Camera: HD Camera Aapko Minimum Range Me Aata Hai Ye Low Budget Hoti Hai.


IP Camera: IP Camera Thore Expensive Hote Hai.



10. Security Difference


HD Camera: HD Camera Security Me Mamle Me Aapko Minimum Best Security Provide Karti Hai Esme Aapko Face Director Jaisi Smart Features Bhi Uplabd Hai.


IP Camera: IP Camera Security Ke Mamle Me Hd Camera Se Jyada Secure Hai. Isme Aapko Face Director Ke Saath ANPR (Automatic Number Plate Recording) Features Bhi Milti Hai.


Ye Raha Aapka HD Camera vs IP Camera Ke Kuch 10 Difference Jo Aapko Ye Janne Me Help Kar Sakta Hai Ki Aap Kon Sa CCTV Camera Ka Istemaal Kar Sakte Hai Apne Use Ke Liye.


Jyada Jankari Ke Liye Aap Comments Kar Sakte Hai.

Thank You For Visiting Our Website.....

Post a Comment

0 Comments